Thursday 19 June 2014

JAB BHE HAZRAT LAL SHAHBAZ QALNDAR KA URS aata hai tu mujhe apni zindagi ka naqabile faramosh waqiya yaad aa jata hai kehte hai k mele main log aksar bechar ja te hain mager mujhe shahbaz qalandar k mele main mujhe wo shakseyat mili jis ko milne ki mujhe buhat aarzoo thee suna tha k hazrat lal shabaz qalandar k urs main har saal mazi ki naamwar adakara firdous begum bhe aati hain so har saal hum un ko mele main dhond te rehte thay mager wo na mil saken raat 2baje k waqt hum mele main ghom rahai thay k mele main rakhe tv py firdous begum ki dhamal ( lal meri pat rakhiyo bhala jhoole laalan )chal rahe thee jis ko dekhne k liye hum ruk gaye or dil sy dua nikli k kab firdous begam sy mulaqat ho gi dhamal khatam ho ne k baad hum 2 qadam he aa gy gaye hongy k aik khatoon hum mare qareeb sy guzri jin ho ne apna cherah chadar sy chupaya howa tha sirf aik ankh nazar aa rahe thee hum ne foran kaha ye he firdous hain aur hum bena soche samjhe he un k raste main ja ker khare ho k khah k aap firdous hain na?? chonk te hoee firdous ne apna chehra chader sy kholte hoye kaha han beta main firdous hoon bas phir tu hum mari khushi ka koee thekana na thaa hum ne sari kahani chalte chalte firdous begam ko sunaee k kis ter ha hum un ko salo saal sy dhond rahein hain phir hum ne firdous begum ne apni jagah de khai jahan wo tehri theen dosre din hum un ki jagha gaye unho ne humari buhat izzat afzaee ki aur hairat ka izhar ker te hoe hum sy kaha bete ye batao k itni raat gaye tun ne mujhe kese pehcha na jab k maine chader sy apna chehra chupaya thaa aur tum ne sirf aik ankh sy mujhe pehcha na?? main ne kaha k ager lagan sachee ho tu manzil khud ba khud saamne aa jati hai friends aap sy yehi kahon ga k firdous begum meri es baat ko aaj tak yaad kerti hain aur aaj 6 saal ka arsa ho chuka hai meger wo aaj bhe mujhe phle din ki ter ha milte hain aur her aik ko ye waqiya sunati hain nigar akhbar main14.8.2009 ko ya tafsili mulaqaat ka ahwal shaya howa tha jis ko firdous begum k fans ne buhat pasand kiya thaa ALLAH FIRDOUS BEGAM KO hansta muskurata rakhee aameen COLLECTION BY guddu film archive


No comments:

Post a Comment