Wednesday 30 July 2014

MOHAMMAD AHMAD ( National College of Arts ) ka banaya howa aik shahkaar 20,11,1971 ko Eid py pesh ki jane wali golden jubilee film TEHZEEB ka poster jis main RANI jee numaya hain FILM TEHZEEB k aakhri song ( LAGA HAI HUSN KA BAZAR DEKHO ) main RANI JEE ne yellow golden type libas pehna howa hai jab k HASAN tariq sahib ne film TEHZEEB k poster py rani jee k libas k yellow golden type color ko tabdeel ker dya aur wo color aap zere nazar M.AHMAD k banaye howay shahkaar main dekh sakte hain RANI jee k es libas ko MAZI ki adakara RAKHSHI ne design kiya thaa ES libas ki maqboleyet ka andaza aap es baat sy laga sakte hain k 1972 ki film ehsas main adakara MUMTAZ ko bhe same yehi yellow golden type libas pehnaya gaye jo k aap film Ehsas ka song jo k SHABNAM py thaa ( hamein khoker buhat pachtao gy ) aur MUMTAZ dance ker ti nazar aati hain dekh sakte hain jab hum ne adakara RAKHSHI k interview kiya thaa tu rakhshi sahiba ne khas tur py FILM TEHZEEB k es libas ka zikar ker te hoye hum sy kaha k HASAN TARIQ ne jab rani ka ye libas tayar ker waya tu rani ko mere samne kaha k rani mujhe abhi tum ye libas pehan ker dekhao aur chalte hoye,dance ker te hoye ghomo take mujhe es libas ki fitting ka andaza ho sake phir RANI ne esaa hi kiya aur tab jaker HASAN TARIQ ne ok kiya aur ye shahkaar ne janam liya thanks MUHAMMAD AHMAD. collection by GUDDU FILM ARCHIVE


No comments:

Post a Comment