Saturday, 28 June 2014
Wednesday, 25 June 2014
Tuesday, 24 June 2014
Saturday, 21 June 2014
SYED NOOR AUR SAIMA NOOR sy yaadgaar mulaqaat main ne be shumaar funkaron ko un ki films ka collection dy tu wo mere fan hoye mager SYED NOOR wo wahid funkar hain k jin ko main ne kuch nahi dya mager unho ne jo izat afzaee ki us ko main sari zindagi nahi bhola sakta hoon es baat ki waja sy main SYED NOOR sahib ki be had qadar ker ta hoon mere ghar aaker meri filmi collection dekh ker jo hosla S.NOOR sahib ne mujhe dya wo mere liye kisi anmol khazane sy kaam nahi wo mujhe jhan bhe milte hain her aik sy meri archive ki tareef or mehnat ko sarah te hai SAIMA NOON NE mujhe sy kaha ye tu aap k kaam sy buhat mutasir hain aur yehi waja hai k mujhe bhe aap sy milne ka ishtiyaaq howa aur bari khushi hoee friends main S.NOOR AUR SAIMA NOOR ka be had mashkoor hoon k unho ne meri jo pazeraee lhr main mulaqaat k duraan ki wo main kabhe bhe nai bhola sakte hoon S.NOOR sahib tu apni jaga buhat aala akhlaq k malik hai mager SAIM NOOR sy bhe mil ker buhat khushi hoee aesa laga k jese wo humko barsoo sy jante hoon khas ker SAIMA NOOR sy pashtu zaban main baat ker k buhat acha laga SAIMA NOOR ka ikhlaq main nai bhool sakta main ne SAIMA NOOR sy kaha k hum old funkaron ko un ka mazi ka filmi collection de te hain mager aap tu dore hazir main mujood hain tu aap k liye ye eik postcard jab aap nai nai aee theen postcard dekh ker SAIM NOOR buht khush hoee aur shukriya ada kiya dua hai k dono khush o khurram rahein aameen collection by GUDDU FILM ARCHIVE
Friday, 20 June 2014
AAJ naamwar naghma nigar KHAWAJA PERVEZ ki barsi manee jara he hai ALLAH mghferat kare aameen in k bare main kuch keh na suraj ko charagh dekhana hai mujhe in k tamam naghmaat be had pasand hain khas ker RUNA LAILA ka gaya howa naghma ( do dil eik doje kolon door ho gaye ) es nghme ki khas baat aik bar khawaja sahib ne bataee k es song k taqreeban aik laakh record aik hafte main farookht hoee thay itna hit howa tha ye song collection by GUDDU FILM ARCHIVE
Thursday, 19 June 2014
JAB BHE HAZRAT LAL SHAHBAZ QALNDAR KA URS aata hai tu mujhe apni zindagi ka naqabile faramosh waqiya yaad aa jata hai kehte hai k mele main log aksar bechar ja te hain mager mujhe shahbaz qalandar k mele main mujhe wo shakseyat mili jis ko milne ki mujhe buhat aarzoo thee suna tha k hazrat lal shabaz qalandar k urs main har saal mazi ki naamwar adakara firdous begum bhe aati hain so har saal hum un ko mele main dhond te rehte thay mager wo na mil saken raat 2baje k waqt hum mele main ghom rahai thay k mele main rakhe tv py firdous begum ki dhamal ( lal meri pat rakhiyo bhala jhoole laalan )chal rahe thee jis ko dekhne k liye hum ruk gaye or dil sy dua nikli k kab firdous begam sy mulaqat ho gi dhamal khatam ho ne k baad hum 2 qadam he aa gy gaye hongy k aik khatoon hum mare qareeb sy guzri jin ho ne apna cherah chadar sy chupaya howa tha sirf aik ankh nazar aa rahe thee hum ne foran kaha ye he firdous hain aur hum bena soche samjhe he un k raste main ja ker khare ho k khah k aap firdous hain na?? chonk te hoee firdous ne apna chehra chader sy kholte hoye kaha han beta main firdous hoon bas phir tu hum mari khushi ka koee thekana na thaa hum ne sari kahani chalte chalte firdous begam ko sunaee k kis ter ha hum un ko salo saal sy dhond rahein hain phir hum ne firdous begum ne apni jagah de khai jahan wo tehri theen dosre din hum un ki jagha gaye unho ne humari buhat izzat afzaee ki aur hairat ka izhar ker te hoe hum sy kaha bete ye batao k itni raat gaye tun ne mujhe kese pehcha na jab k maine chader sy apna chehra chupaya thaa aur tum ne sirf aik ankh sy mujhe pehcha na?? main ne kaha k ager lagan sachee ho tu manzil khud ba khud saamne aa jati hai friends aap sy yehi kahon ga k firdous begum meri es baat ko aaj tak yaad kerti hain aur aaj 6 saal ka arsa ho chuka hai meger wo aaj bhe mujhe phle din ki ter ha milte hain aur her aik ko ye waqiya sunati hain nigar akhbar main14.8.2009 ko ya tafsili mulaqaat ka ahwal shaya howa tha jis ko firdous begum k fans ne buhat pasand kiya thaa ALLAH FIRDOUS BEGAM KO hansta muskurata rakhee aameen COLLECTION BY guddu film archive
Wednesday, 18 June 2014
Friday, 13 June 2014
Thursday, 5 June 2014
AAJ mere Favorite moseqaar KAMAL AHMED KI barsi manaee jarahe hai allah marhoom ki maghferat kare aameen kamal ahmed ne be shumaar super hit naghmaat ki moseqi tarteeb di hai mujhe un k naghmaat gaa mere manwa ga ta jare,sab tu suhneya,ishq sacha hai,khelone teri zindagi kya,kisi ne kise ko itna nahi cha ha hoga,way beimana bhul te nai gayeen yaada meriyen,tere mere pyar ka aesa naata hai or de ger be shumar aap friends ko kamal ahmed k kon sy naghmaat pasand hain collection by Guddu Film Archive
Tuesday, 3 June 2014
ا و جانے والے میں تیرے قربان خدا حافظ جی ہان یہ گانا سنتے ہی آپ کی ذھن میں فلم دلہن ایک رات کی یاد آ جائے گی آج اداکارہ نممی (قمر جہاں ) کی برسی ہیں مجھے یاد ہے جب نممی کی پہلی فلم دلہن ایک رات کی نے دھوم مچائی تو اس زمانے میں میرا نممی ک گھر آنا جانا رہتا تھا نممی کے بھیا گوشی سی بہت دوستی رہی نممی نے اپنے عروج کے وقت اچانک فلمی دنیا سی کنارہ کشی کر لی ا ور گمنامی کی زندگی گزارنے لگی جب ہم نے صحافت کی دنیا میں قدم رکھا تو ہم نے پرانے اداکاروں کے انٹرویوز کو ترجعیی دی جن میں فردوس،سلونی،نغمہ،شاہد،بابرہ شریف،یاسمین شوکت،تمنا بیگم،بہار بیگم،عشرت چودھری،پنا،ایمی مینوالا،صابرہ سلطانہ،صاعقہ،مہ پارہ ،ا ور دیگر شامل ہیں ان اداکاروں کے انٹرویوز کو عوام نے بے حد پسند کیے پھر ہمکو نممی کی یاد ستا نے لگیی تو ہم نے نممی کی تلاش شروع کردی ہمکو پتا چلا کے وہ کسی سے نئی ملتی ا ور پردہ کرتی ہیں مختصر یہ کے ہم نممی تک پہنچ نے میں کامیاب ہو گئے ہمنے دیکھا کے وہ نماز ادا کر رہی تھی پہت سال بعد نممی کے بہای گوشی سی بھی ملاقات ہو گئی ہم نممی کو دیکہ کر بہت حیران ہو گئے کل کی نممی ا ور آج کی نممی میں بہت فرق آ گیا تھا جب ہم نے نممی سی انٹرویو لینے کی بات کی تو نممی نے انکار کر دیا ا ور کھا کے وہ سب کچھ چھوڑ چکی ہیں بہت گزارش کے بعد انٹرویو کے لئے راضی هوئ جب نممی نے اپنی زندگی کی کہانی سنائی تو بہت دکھ ہوا ا ور وہ رونے لگی ہم نے پہلا سوال نممی سی کیا کے ان کی زندگی میں یہ تبدیلی کیسے آی ہے؟؟ نممی نے جواب دیا ک میں شوٹنگ ک لئے جارہی تھی کے میرے ایک جاننے والے نے مجھے ایک بک دی بک کا نام موت کا منظر میں نے یہ بک روم میں جا کر پڑھ لی جب میں روم سی باہر نکلی تو میں اداکارہ نممی نہیں رہی مجھ پر اس بک کا اتنا اثر ہوا کے میرا دل پلٹ گیا ا ور میں نے فلمو ن میں کام چھوڑ دیا ا ور فلم کا بیانا تک واپس کر دیا گھر والے ناراض ہو نے لگے بس روم بند کر کے قبر میں کیا سوال جواب ہوگا اس کی تیاری کر تی تھی تقریبن ٦ سال تک کمرے میں بند رہی ا ور صرف الله الله کرتی رہی آپ FRIENDS جو فیس بک پی نممی کی تصویرین دیکہ رہے ہیں یہ ہم نے زبردستی نممی کا حلیہ سہی کر کے بنوای تہی نممی کا مکمّل انٹرویو آپ YOUTUBE پی GUDDU KHAN TYPE کر کے دیکہ سکتے ہین نممی کی مالی حالت بھی بہت خراب تہی انٹرویو کے چند مہینے بعد ہی نممی کا کینسر کے وجہ سے انتقال ھو گیا نممی کے انتقال کے چند ماہ بعد نممی کی جوان بیٹی کا صدمے کی وجہ سی انتقال ہوگیا الله نممی کی مغفرت کرے collection by GUDDU FILM ARCHIVE
Monday, 2 June 2014
filmstar NANNAH aaj humare darmeyan mujod nahi mager un ka fun hamesha un ki yaad delaye ga meri jab nannah marhoom sy phli mulaqaat hoee tu wo mujhe sy aese baat ker rahay thay k jese wo mere puraane milne wale hoon buhat hanci mazaaq aur aalla insan thay aalah un ki mghferat kare aameen zere nazar photo nanna ki phli film sy ligee hai collection by GUDDU FILM ARCHIVE
Subscribe to:
Posts (Atom)