Sunday, 3 November 2013

بلبل صحرا ر یشماں انتقال کر گئیں الله مرحومہ کی مغفرت کرے آمین دلی دکھ ھوا ہے ایک ایسی سچی آواز جو دل کو جا کے لگتی تھی جس کی آواز کو کسی ریاض کی ضروت نہ تہی کتھے نین نہ جوڑیں،تک پتری والیاں،ھاے او ربا نیوں لگدا دل میرا،نہ دل دیندی بیدردی نوں جب میں سنتا نہ جانے کیوں میری آنکھیں نم ھو جاتی اب یہ آواذ ھمیشھ کے لئیے خاموش ھو گئ آپ دوست دیشماں جی کے بارے میں اپنےخیالات کا اظہار کیجیئے COLLECTION BY guddu film archive


MAZI KI MAROF ADAKARA CHAKORI BEGUM JIN KO HUM SY JUDA HOE 3 BARAS BEET GAYE HAIN ALLAH MARHOMA KI MGHFERAT KARE AAMEEN ASLA NAAM KHAWAR SULTANA THA TEQREBAN 355 K QAREEB SINDHI,URDU,PANJABI FILMS MAIN KAAM KIYA BUHAT BA SALAHEYAT OR MEHNATI FUNKARA THEE BUHAT SHAFIQ OR MUHABAT KAR NE WALI BA AKHLAQ INSAN THE MERA KIYA GAYA INTERVIEW MERE YAADGAR INTERVIEWS MAIN IN KA SHUMAR HOTA HAI zere nazar tesveer main CHAKORI BEGUM KA DYA HOWA autograph AAJ BHI MERI FILM ARCHIVE MAIN MEHFOZ HAI AAP FRIENDS YE INTERVIEW YOUTUBE PY GUDDU KHAN TYPE KER K BHI DEKH SAKTE HAIN NIGAR AKHBAR MAIN BHI SHAYA HO CHOKA HAI MAIN AAJ BHI IN KI KAMI KO MEHSOS KER TA HOON AESAY FUNKAR AB DOBARA NAHI MIL SAKTE MERI YADOON OR DUA MAIN CHAKORI BEGUM HAMESHA RAHEN GI COLLECTION BY guddu film archive



Tuesday, 29 October 2013

AAJ MAROF MOSIQAR KHAWAJA KHURSHEED ANWAR KO HUM SY JUDA HOE 29 BARAS BEET GAYE HAIN ALLAH MARHOM KI MAGHFERAT KARE AAMEEN KHURSHEED ANWAR NE 1940 MAIN FILMI SANAT SY WABASTA HOE OR PHLI BAR nishat productions k TEHAT BANNE WALI FILM kurmai ki MOSIQI TERTEEB DI JIS K HIDAYET KAR J.K.NANDA THY PAKISTAN AA NE K BAAD PHLI FILM MIRZA SAHIBAN (URDU) JIS MAIN MUSARRAT NAZEER,YASMIN,SUDHIR NE KAAM KIYA ZERE NZAR TESVEER MAIN AAP FILM KURMAI OR MIRZA SAHIBAN KI original booklet DEKH SAKTE HAIN KHAWAJA SAHIB MERE PASANDIDA MOSIQAR HAIN MUJHE IN K TAMAM SONGS BE HAD PASAND HAIN KHAS KER FILM HEER RANJHA K SONGS AAP FRIENDS KO IN K KON SY NAGHMAT PASAND HAIN? COLLECTION BY guddu film archive


aaj mere pyare dost ISMAIL SHAH ko hum sy juda hoe 21 baras beet gaye hain allah ismail ki maghferat kare aameen ismail shah sy meri dosti film main aane sy qabal the us k saath guzre din mujhe hamesha us ki yaad delate rahen gy aik khas baat ismail shah ki aap sy share karon ga k film main aa ne sy phle ki baat hai k aik taqreeb main main ne ismail shah ko jis khubsorti sy dance ker te dekha k bayan nahi ker sakta hoon bas ye samjho k main ne abhi tak kisi pakistani hero ka itna aala dance ker te nahi dekha hala k film main aa ne k baad ismail ne buhat film main dances kiye mager wo dance main kabhi nai bhool sakta hoon jo main ne film main aa ne sy phle dekha tha bas ab tu yad hi baqi reh gae hain COLLECTION BY GUDDU FILM ARCHIVE